Chaman Jal gaya - Shak ka teer chal gaya
Banaya tha maali ne jo chaman badi chaah se
Kaisi giri ye barq, muskurata chaman jal gayaHar paudhe ko seencha tha pyar ke ehsas se
Kyun khilta hua phool pairon se masal gayaUgta tha jahan muskurate hue suraj har roz
Wo suraj kyun waqt se pehle hai dhal gayaJo dil jude the ek doosre se ek anjani dor se
Ye kaunsa ehsaas aaj un dilon ko chhal gayaKahan gayi wo mohabbat jo ek doosre se thi
Aapas main kyun shak ka yeh teer chal gaya !!
More responses to this poem : chaman jal gaya
Author: “Talat”
Shayari Love Urdu Shayari
