Winner of Khumar e Ishq Poetry Contest : Dec 2006 at Yoindia Poetry Community
Author of Winner Poems
- Winner Poem by Dr. Talat Jabeen Click here to see Certificate
Yoindia ID: Talat - First Runnerup by Mr. Vikas
Yoindia ID: vicky
AKELA - Second Runnerup by Alone BAD
Yoindia ID:
ALONE Bad
The Winner Poems
Mere Mehboob
Link to original poem: Mere Mehboob
Tere chehre main masoom sa bachcha nazar aata hai
Muskura kar dekhna mujh ko, dil pe qehar dhaata haiJabeen par bikhar jaati hain teri zulfen jo pareshaan si
Apni unliyon se sanwaaroon, mann ye behek jaata haiAnkhon main machalti hui shokhiyan, woh sharartain
Woh tera baankpan har baar mujh ko qatl kar jaata haiAur thak ke jo kar leta hai band apni aankhon ko kabhi
Apne aaghosh main bhar loon, dil mera tadap jaata haiTu kya jaane tere ishq ne kya haal kiya mera, ae Dilbar
Jis jaanib dekhti hoon, mujhe tu hi tu nazar aata hai !
Tadap-ae-Ishq
Link to original poem: Tadap-ae-Ishq
TADPA jati hain aksar unki, yeh jhukti hui aankhen,
jab uth-ti hain yeh aankhen, to yahi dua ban jati hain……
yeh unki di hui TADAP-AE-ISHQ hai, ya unki hai dua,
jo raaton ko jagne ki vazah ban jaati hai……………………!unki is chahat me, TADAP-TADAP ke jee rahe hain,
ya unhi ki dua ke asar se, aaj saanse le rahe hain………..
yahi sochte-sochte bas, raat se subah ho jaati hai,
jo raaton ko jagne ki vazah ban jaati hai……………………!ek to unka haseen chehra, us par kaali zulfon ke pehra,
wo palkon ki chilman aur aankhon ka kaajal gehra………
ek nazar bhar jo dekh le, to kayamat ho jaati hai,
jo raaton ko jagne ki vazah ban jaati hai……………………!wo sharm-o-naadani se unka, apni nazren churaana,
wo aanchal ko daaton me daba kar yun muskuraana……
yahi andaaz-o-ada to unki, tadapne pe majboor kar jati hai,
jo raaton ko jagne ki vazah ban jaati hai……………………!JO RAATON KO JAGNE KI VAZAH BAN JAATI HAI…………!!!!!!!!!!
Kya Kahiye
Link to original poem: Kya Kahiye
Ishq kae khumaar ki baat kya kahiyae
dil kae qaraar ki baat kya kahiyaeSare jahan main bas lagta hai wo hasin
Us dilbar kae andaaz ki baat kya kahiyaeSurur hi surur hai nasha hi nasha hai
kaise kat-tae hain din-raat kya kahiyaeMaykade main jaakar bhi chadta nahi nasha
Un ankhon ke jaam ki bat kya kahiyaeJis raah main ban jayen hum raah wo mere
us pariwash rahguzar ki baat kya kahiyaeIshq kae khumaar ki baat kya kahiyae
dil kae qarar ki baat kya kahiyae……………..
More Details about the contest : Contest Khumar ae Ishq Dec:2006
