[x] Do you like Poetry?
Do you have a Poet Inside?
You can also have your poetry listed here!
Click Here to Join Yoindia ShayariAdab
Source of more than 100000s of poetry

Firdous e Shayari - Shayari Reviews

Reviews to Original Yoindian Poetry

 
Biggest Hindi/ Urdu Poetry Community

Ek ladki ki dastaan

 
Woh beeti huyi shaam apne saath yaadon ko bhi le gayi
Woh aansuon main bheegi huyi ek dastaan bhi thi keh gayi
Bayaan karta hoon apne lafzon main zazbaaton kii ek kahaani
Pariyon si ek ladki kii ek dard bhari kahaani
Yeh dastaan thi ek masoom pari kii jispe pyaar ka saaya tha
Jo toot gayi thi tabse jabse kissii ne oose thukraaya tha
Khamosh ho chuke labon par ek sannaata chha jata tha
Ashqon se bheege huye chehre se jab zulfon ko main hatata tha
Muskuraati thi woh hardam harpal woh muskati thi
Main poochhta tha dard uska woh nagme gungunati thi
Jab bheeg jati thi palkein kissii ko yaad karke
Dekhti thi meri taraf dil k tukde char karke
Main thaamna jo chahta kabhi who door hat jaati thi
Mujhse apni dooriyon ka ehsaas bhi dikhati thi
Bebas thi woh dil k haathon aur is zamaane se anjaan thi
Nafrat bhi kaise karti woh ,oose sirf pyaar kii pehchaan thi
Maine chhoda oose kucch waqt akele uski tanhayee main
Dil ne roka mujhe bahut par chal diya de kar oose judaaii main
Jab lauta main vaapas woh phir se muskuraayi thi
Shayad kissii k pyaar kii chamak uski aankhon main ootar aayi thi
Oosne bhar k mujhko baahon main pyaar se dekha tha
Jab maine oosse uski khushi ka raaz poochha tha
Sharmaayi thi woh phir oosne dheere se sar ko jhukaya tha
Bataya oosne kii dil uska phir kissii par aaya tha
Main khush tha oose dekh kar uski khushiyon main muskuraya tha
Par phir kyun ootha ye dard sa dil mein main isko samajh na paya tha
Main phir chal diya alag raah par oose chhod kar uski duniya main
Tanha reh gaya tha main jaise kyun main ise samajh na paaya tha
Door tha main phir oosse par uski yaadon se nahi tha
Shayad main pehli baar uski khushiyon se khush nahi tha
Beete qayi din woh yaadon k saaye main thi kho gayi
Zindgi k ek mod par oosse mulaqat phir se ho gayi
Main dekhta raha oose woh mujhko dekhti rahi
Maine poochha na oosse kucch aankhon main baat ho gayi
Thukraaya tha aaj oosne kissii ko jaane kya baat thi ho gayi
Jaise who har gham se har khushi se anjaan ho gayi
Kucch na kaha maine oose bas phir se dosti ko thaam liya
Mohabbat k qayi roop hai bas is baat ko maan liya
Na chahat thi kissii aur kii na kissii k pyaar kii aarzoo thi
Bas who mere saath thi na ab kissii kii talaash thi
Dastaan ye yahin par khatam nahi hoti hai
Ye zindgi kii iske har panne par nayi ibarat likhi hoti hai

Find more responses on this poem Ek ladki ki Dastaan
Author : “Salil2002″
More Shayari

 

Ek Dua

 
Mere Maula, Teri rehmat ki bheek maangte hain hum
Meherbaan koi na Tujhsa hai yeh bhi jaante hain hum

Ek bas Tu hi sunne wala hai fariyaad toote hue dil ki
Jhukaya sar jo sajde main, ho gayin ye aankhen nam

Khushi main bhool jaate hain, mile lekin jo ghum koi
Daaman phaila kar Tere dar par chale aate hain hum

Suna hai bin maange milta hai Darbaar-e-Ilaahi main
Kaise jaayenge bhala ho ke maayoos tere ghar se hum

Kahan jaayen tere bande na ho Tu yoon khafa humse
Naadim hain gunahon par, tu karde ab hum pe karam

More responses to this Poem : Ek Dua
Author : “Talat”
More Shayari & Poetry

 

Bezubaan se ho gaye hain hum

 
Mujhe itni bhi sazaa naa de,
Mere pyaar ki intehaa naa le…
Rukk jaa E chaand tham jaa zara,
Do ghadi mujhe bhi nihaar le…
Main toot kar bikhar chali,
Meri khaakh ko yun hawaa naa de…

Do bol tujhse sunn sakun kabhi,
Main intezaar mey rahii sada…
Tu chal pada mujhe chodh kar,
Deewaar si main khadii rahii…
Sehem gayii hoon bus is baat sey,
Kahin mujhko tu bhulaa naa de….

Yeh kya kiya tuney E dil bata,
Pyaar phir kyon kiya bhala…
Kaise kahe ab yeh meri zubaan,
Kaise khud apna ghar loon jala…
Khaamoshi ki yeh aadat kahin,
Mujhey bezubaa hi banaa naa de….

See more reponses to this Poem : Bezubaan se ho gaye hain hum
Author : “Shikha”
More Poetry & Shayri

 

Waishya (Tawaiyaf)

 
Sadak ke kinare ek ped sahare khadee hai
aakho me intjaar hai kiska ye kuch pata nahi hai
bas ek yahee kam hai iska jo roj wo kar rahee hai

kabhee intjaar kartee hai or lot jatee hai mayoos hokar
kabhee kush ho jatee hai kisi ka pal bhar ka saath paakar

kuch pal kaa saath dene wale bhoot mil jate hai
keemat oos pal kee chukate hai or chale jate hai

sare bajar kothe pe baitha diya hai jise bikne ke liye
hajaro tayar kai kurban hone ko par sirf kuch pal ke liye
n koi apnata hai isko n ghar kee ronak banta hai
kharid kar fir chorh diya jata hai fir dubara bikne ke liye

See more reponses to this Poem :Waishya
Author : “Netrapal”
More Shayari

 

Winner of Khumar e Ishq Poetry Contest : Dec 2006 at Yoindia Poetry Community

 

Author of Winner Poems

The Winner Poems


Winner Poem

Mere Mehboob
Link to original poem: Mere Mehboob

Tere chehre main masoom sa bachcha nazar aata hai
Muskura kar dekhna mujh ko, dil pe qehar dhaata hai

Jabeen par bikhar jaati hain teri zulfen jo pareshaan si
Apni unliyon se sanwaaroon, mann ye behek jaata hai

Ankhon main machalti hui shokhiyan, woh sharartain
Woh tera baankpan har baar mujh ko qatl kar jaata hai

Aur thak ke jo kar leta hai band apni aankhon ko kabhi
Apne aaghosh main bhar loon, dil mera tadap jaata hai

Tu kya jaane tere ishq ne kya haal kiya mera, ae Dilbar
Jis jaanib dekhti hoon, mujhe tu hi tu nazar aata hai !


First Runnerup

Tadap-ae-Ishq
Link to original poem: Tadap-ae-Ishq

TADPA jati hain aksar unki, yeh jhukti hui aankhen,
jab uth-ti hain yeh aankhen, to yahi dua ban jati hain……
yeh unki di hui TADAP-AE-ISHQ hai, ya unki hai dua,
jo raaton ko jagne ki vazah ban jaati hai……………………!

unki is chahat me, TADAP-TADAP ke jee rahe hain,
ya unhi ki dua ke asar se, aaj saanse le rahe hain………..
yahi sochte-sochte bas, raat se subah ho jaati hai,
jo raaton ko jagne ki vazah ban jaati hai……………………!

ek to unka haseen chehra, us par kaali zulfon ke pehra,
wo palkon ki chilman aur aankhon ka kaajal gehra………
ek nazar bhar jo dekh le, to kayamat ho jaati hai,
jo raaton ko jagne ki vazah ban jaati hai……………………!

wo sharm-o-naadani se unka, apni nazren churaana,
wo aanchal ko daaton me daba kar yun muskuraana……
yahi andaaz-o-ada to unki, tadapne pe majboor kar jati hai,
jo raaton ko jagne ki vazah ban jaati hai……………………!

JO RAATON KO JAGNE KI VAZAH BAN JAATI HAI…………!!!!!!!!!!


Second Runnerup

Kya Kahiye
Link to original poem: Kya Kahiye

Ishq kae khumaar ki baat kya kahiyae
dil kae qaraar ki baat kya kahiyae

Sare jahan main bas lagta hai wo hasin
Us dilbar kae andaaz ki baat kya kahiyae

Surur hi surur hai nasha hi nasha hai
kaise kat-tae hain din-raat kya kahiyae

Maykade main jaakar bhi chadta nahi nasha
Un ankhon ke jaam ki bat kya kahiyae

Jis raah main ban jayen hum raah wo mere
us pariwash rahguzar ki baat kya kahiyae

Ishq kae khumaar ki baat kya kahiyae
dil kae qarar ki baat kya kahiyae……………..

More Details about the contest : Contest Khumar ae Ishq Dec:2006

 

Bichorda - Punjabi Shayri

 
Kar ke gussa khud hi pachtavenga
dil tor kar mera, khud bechain ho jawenga
karega phir tu intzaar, per manu na kidre pawenga
kar ke bichora, umarbhar da rona de jawenga

Find more responses to this : Bichorda
Author : Pooja
More Poetry & Shayari

 

Mera Bhaarat Mahaan !

 
doo boond pani ke liye taraste hai kai is desh me
koi ek tookde roti ke liye tarasta hai is desh mebech detee sirf kuch hajar me maa apne hee laal ko
bik rahee sare bazaar bettiya chand sikke kamane ko
ye hai wo bhart jo tayaar hai tiranga apna fahrane ko

wo dekho ek balak kaisa iskaa hal hai
fate kapde hai jisek boora bhook se hal hai
fir bhee yahee kaha jata hai.. mera bharat mahan hai
chamak rahe hai sahar sare har gaon mai andhkar hai
nahi miltee siksha gareeb ko n milta koi rojgaar hai

mar rahe hai roj begunah veedeshiyo ke dhamako se
khokhala ho raha hai watan mera apne hee hukmarano se

bhuj rahe hai diye ashaao ke roshan hone se pahale hee
haha kar hota har roj shamshano me chitao ke jalne par hee

kya aisa pal bhee ayega jab bahart asal me mahan kahalyega
har taraf hogi khushali n bhook se koi bhee marne payega

You can see responses for this Poetry at : Mera Bharat Mahan
Author : Netrapal
More Shayari

 

Tujh ko paa kar bhi kho diya humne…!!

 
Samajh kar bhi na samajh paaye tujhe hum
Jaane anjaane tera dil dukha diya humneTune to sada rakha tha palkon par saja kar
Khud ko us muqaam se gira diya humne

Mohabbat ek naam hai aitemaad ka, lekin
Mohabbat ko apni ruswa kar diya humne

Lafzon ke zakhm bharte nahin hain kabhi
Phir bhi kyun tujhe yoon zakhm diya humne

Umr bhar ka yeh dukh dil main basa liya
Tujh ko paa kar bhi aaj kho diya humne

You can see more responses on this poem at : Tujhko Pakar bhi Khoya Humne
Posted by “Talat”
More Shayari