kyon aankhein nam hoti hai (Dard Tanhai Shayri)
Shaam hote hee kyon, Diye jal jaate hain
Kyon aankhein nam hoti hai, kyon ashk dhal jaate hain
Taarikiyo’n ko cheerkar, ye lau jagmagaati hai
Sehar hote hee kyon, Shamma dhal jaati hai
Aksar tanha raato mein, Kyon bebasi jhalakti hai
Kyon din khushi manata hai, Kyon raat udaas hoti ha
iShaam hote hi kyon, Diye jal jaate hain
Kyon aankhein nam hoti hai, kyon ashk dhal jaate hain
Inn waadiyo’n mein khudko, mai Kyon udaas paata hoon
Ye Surile parinde bhi, Kyon udaas geet gaate hain
Sehraa mein hoon mai tanha, Iss neele falak ke neeche
Ye aasmaa’n bhi mujhpar, kyon bijliyaa’n giraate hainShaam hote hi kyon, Diye jal jaate hain
Kyon aankhein nam hoti hai, kyon ashk dhal jaate hain
More responses to this Poem : Kyun ankhein nam hoti hain
Author : “Alam Qazi”
More Dard Shayari in hindi urdu
