Bezubaan se ho gaye hain hum
Mujhe itni bhi sazaa naa de,
Mere pyaar ki intehaa naa le…
Rukk jaa E chaand tham jaa zara,
Do ghadi mujhe bhi nihaar le…
Main toot kar bikhar chali,
Meri khaakh ko yun hawaa naa de…Do bol tujhse sunn sakun kabhi,
Main intezaar mey rahii sada…
Tu chal pada mujhe chodh kar,
Deewaar si main khadii rahii…
Sehem gayii hoon bus is baat sey,
Kahin mujhko tu bhulaa naa de….Yeh kya kiya tuney E dil bata,
Pyaar phir kyon kiya bhala…
Kaise kahe ab yeh meri zubaan,
Kaise khud apna ghar loon jala…
Khaamoshi ki yeh aadat kahin,
Mujhey bezubaa hi banaa naa de….
See more reponses to this Poem : Bezubaan se ho gaye hain hum
Author : “Shikha”
More Poetry & Shayri
